hasrat bharī nazar se vo dekhtā hai mujh ko
kuchh boltā nahīñ hai bas sochtā hai mujh ko
rakhtā hai dil meñ mujh ko palkoñ meñ band kar ke
ḳhvāboñ meñ apne har shab vo kholtā hai mujh ko
merī ḳhabar se mujh ko rakhtā hai bā-ḳhabar vo
mujh se zyāda shāyad vo jāntā hai mujh ko
ab tak kisī ne aisā chāhā nahīñ kisī ko
jaise ki apne dil se vo chāhtā hai mujh ko
us ko maiñ māñgtā huuñ sajde meñ sar jhukā ke
dast-e-duā uThā ke vo māñgtā hai mujh ko
ab mere vāste vo ik aa.ina hai jaise
vo is qadar sarāpā pahchāntā hai mujh ko