maiñ tire sañg kaise chalūñ ham-safar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā
tū kahāñ maiñ kahāñ al-amāñ al-hazar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā
tujh se hai sab ye husn-e-jahāñ mo'tabar tujh ko sajde kare kahkashāñ sar ba-sar
tū harīm-e-qamar maiñ hazīn-e-sahar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā
gaah shorīda-sar gaah ḳhāmosh-tar tujh meñ poshīda haiñ raaz sab basta-sar
tere lāl-o-gohar aur maiñ ḳhāk-sar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā
tū bahāroñ kī jā tū libās-e-shajar maiñ ḳhizāñ kī sadā maiñ ġhubār-e-safar
tū numūd-e-matar maiñ hadīs-e-digar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā
vus.at-e-be-karāñ maḳhzan-e-sīm-o-zar be-had-o-be-nishāñ terī har rah-guzar
tū ba-hadd-e-nazar maiñ kanār-e-safar tū samundar hai maiñ sāhiloñ kī havā