mujh ko sazā-e-maut kā dhoka diyā gayā
merā vajūd mujh meñ hī dafnā diyā gayā
bolo tumhārī riiḌh kī haDDī kahāñ ga.ī
kyuuñ tum ko zindagī kā tamāsha diyā gayā
ā.ankhoñ ko merī sach se bachāne kī fikr meñ
T v ke scrēn pe chipkā diyā gayā
sāzish na jaane kis kī baḌī kāmyāb hai
har shaḳhs apne aap meñ bhaTkā diyā gayā
lahje meñ sach kā zuhūr ugalne kā jurm thā
merī ġhazal ko dhuup meñ jhulsā diyā gayā