paas apne boriyā bistar na thā
itnā sarmāya bhī apne ghar na thā
dasht jañgal sā.ibān-o-dar na thā
maiñ hī maiñ thā aur koī manzar na thā
dā.eroñ meñ bhī na guzrī zindagī
ḳhvāhishoñ kā bhī koī mehvar na thā
ek zanjīr-e-havas kār-e-nishāt
aur koī silsila haT kar na thā
qatl kartā thā mujhe vo pai-ba-pai
us ke hāthoñ meñ magar ḳhanjar na thā
apne hī ham-zād se Dartā huuñ maiñ
yuuñ kisī aaseb se kuchh Dar na thā
ham ye saudā apne sar meñ le chale
us galī meñ ek bhī patthar na thā