Mukhtar Shameem

nama-e-gul mein kisi shoKH ki tahrir ka rang

Mukhtar Shameem

Sironj, Madhya Pradesh, India

1945
nāma-e-gul meñ kisī shoḳh kī tahrīr kā rañg
dil-e-pur-ḳhūñ kī ubhartī huī tasvīr kā rañg
vo tahī-māya pashemān-e-vafā haiñ ham log
apnī taqrīr meñ jaadū hai na tahrīr kā rañg
sabz-dar-sabz daraḳhtoñ meñ chalā aag kā phaag
ujlā ujlā hai mire ḳhvāb kī ta.abīr kā rañg
qatl honā hai sar-e-shām-e-tamannā har roz
roz laanā hai na.ī sub.h kī tanvīr kā rañg
rañg detā hai kahīñ ā.ina-e-nām-o-numūd
ḳhuub khiltā hai kahīñ jauhar-e-tauqīr kā rañg
Top Urdushayar.com