dil laraz rahā hai kyuuñ is ke ḳhat ko pā kar bhī
harf hans hai haiñ kyuuñ rañg ruḳh uḌā kar bhī
tujh se duur rah kar bhī dil girafta rahte the
ek ajiib uljhan hai tere paas aa kar bhī
chehre haiñ kahte haiñ ā.īne pashemāñ haiñ
hai ajiib hairānī bazm-e-dil sajā kar bhī
lafz lafz phailā thā nuqta nuqta simTā huuñ
kis qadar pashemāñ huuñ dāstāñ sunā kar bhī
ai 'shamīm' behtar hai duur hī raho sab se
sañg-e-mīl kī sūrat fāsle miTā kar bhī