hai taqāzā-e-junūñ silsila-vār mile
ġham kī zanjīr mile dard kī jhankār mile
tesha-e-nūr liye sub.h kā paiġhām liye
koī bedār mile koī to hoshyār mile
dasht-e-vahshat kī qasam ābla-pā.ī kī qasam
raah meñ jab na koī sāya-e-dīvār mile
ham-safar ham ne jahāñ naqsh-e-tamannā paayā
ham rah-e-zīst ke is moḌ pe bekār mile
un ke chehroñ pe the iḳhlās-o-mohabbat ke nuqūsh
dil meñ jhāñkā to mire yaar hī aġhyār mile