kabhī saaya to kabhī dhuup kā manzar badle
dar-o-dīvār hue dasht-numā ghar badle
mausamoñ ne to daraḳhtoñ ko diye pairāhan
aur havāoñ ne uḌānoñ ke liye par badle
us ne chaTTān meñ ik phuul khilāyā to kyā
pattharoñ ko na badalnā thā na patthar badle
reg-zāroñ meñ chalā qāfila-e-mauj-e-hayāt
tishnagī ret ke sahrā meñ samundar badle
ik tire ġham ke ujāloñ kī ridā.eñ mil jaa.eñ
zindagī jism kī ye mailī sī chādar badle