maiñ zindagī ke hazāroñ azaab jhel gayā
azaab kyā haiñ maiñ kitne hī ḳhvāb jhel gayā
ye pyaas dhuup safar dasht aur maiñ tanhā
ġhanīm vaqt kā ik ik hisāb jhel gayā
maiñ apne aap se mil kar bahut pashemāñ huuñ
bichhaḌte rahne kā paiham azaab jhel gayā
ufuq ufuq vo magar mehr-o-mah uchhāle hai
maiñ zaḳhm zaḳhm ka.ī āftāb jhel gayā
vo ik sadā thī ki sadiyoñ kī guuñj thī mujh meñ
us ek lamhe meñ kyā inqalāb jhel gayā
ukhaḌ hī jā.egā ab sā.ibān-e-roz-o-shab
'shamīm' bojh to zor-e-tanāb jhel gayā