vaqt ke chehre pe chaḌhtī dhuup kā ġhāza lagā
kuchh mire rañg-e-suḳhan kā is se andāza lagā
ek lafz-e-kun amīn-e-ālam-e-imkāñ hazār
ek ik lamhe se to sadiyoñ kā andāza lagā
TuuT jaatā huuñ shikasta aa.ine ko dekh kar
jab kabhī ḳhud se milā huuñ zaḳhm ik taaza lagā
ik na ik aaseb chupke se abhī dar aa.egā
band kar ghar ke darīche laakh darvāza lagā
sochtā kyā hai muqaddar āzmānā shart hai
khul hī jā.egā darīcha koī āvāza lagā
chilchilātī dhuup kī nazroñ ne taakā hai vahīñ
sabz Tahnī par agar ik phuul bhī taaza lagā
ijz ejāz-e-suḳhan hai ma.anī-e-ījād-e-fan
qīmat-e-arz-e-hunar kā kuchh to andāza lagā