suḳhan suḳhan jo kisī karb se ibārat thā
maiñ lafz lafz ḳhud apnī hī to hikāyat thā
ḳhyāl-e-vahm kī sūrat bhī kyā haqīqat thā
vo duur duur thā to kitnā ḳhūb-sūrat thā
har ik ba-nām-e-mohabbat ḳhulūs kī ḳhātir
har ek dūsre ke vāste musībat thā
vajūd-e-lafz-o-ma.anī sukūn-e-jāñ kahiye
ḳhud apnī zaat meñ har harf ik aziyyat thā
lapakte sho.aloñ meñ jalte rahe ḳhutūt magar
ik ek harf pukārā hai maiñ mohabbat thā
use darāzi-e-qad par bahut ġhurūr huā
sunā hai us meñ bhī pahlū husūl-e-shohrat thā
hazār us se ḳhafā hoñ burā kaheñ lekin
'shamīm' shaḳhs thā kyā ḳhuub dam ġhanīmat thā