fareb-e-husn nazar kā dikhā.ī detā hai
hameñ har ek jo achchhā dikhā.ī detā hai
shu.ūr-e-ġham ke darīche to vā karo yaaro
fasīl-e-shab pe ujālā dikhā.ī detā hai
yahāñ sab apnī salībeñ uThā.e phirte haiñ
har ek shaḳhs masīhā dikhā.ī detā hai
hamāre dard ko paḌh lo khulī kitāb haiñ ham
har ek chehra ye kahtā dikhā.ī detā hai
'shamīm' aa.iye fikr-e-suḳhan-shi.ār kareñ
yahī farār kā rasta dikhā.ī detā hai