Mukhtar Shameem

KHud apne aapko dhoka diya hai

Mukhtar Shameem

Sironj, Madhya Pradesh, India

1945
ḳhud apne aap ko dhokā diyā hai
hamāre saath ye akasr huā hai
ye mujh se zindagī jo māñgtā hai
na jaane kaun ye mujh meñ chhupā hai
yahī merī shikastoñ kā silā hai
koī mere badan meñ TūTtā hai
kitāb-e-gul kā rañgīñ har varaq hai
tumhārā naam kis ne likh diyā hai
salīb-e-vaqt pe tanhā khaḌā huuñ
ye saarā shahr mujh par hans rahā hai
kabhī niiñd aa ga.ī dīvāngī ko
kabhī sahrā bhī thak kar so gayā hai
'shamīm' ik barg-e-āvāra thā 'jāmī'
ḳhalāoñ meñ kahīñ ab kho gayā hai
Top Urdushayar.com