Mukhtar Shameem

subh rangin-o-jawan sham suhani mange

Mukhtar Shameem

Sironj, Madhya Pradesh, India

1945
sub.h rañgīn-o-javāñ shaam suhānī māñge
dil-e-betāb ki terī hī kahānī māñge
koī dekhe ye mirā ālam-e-jaulānī-e-tab.a
jis tarah āb-e-ravāñ aap ravānī māñge
ḳhūgar-e-aish nahīñ fitrat-e-shorīda-sarāñ
ġham-o-andoh-talab soz-e-nihānī māñge
dasht-e-ġhurbat meñ un āñkhoñ kī namī yaad aa.e
tishna-lab jaise koī sahrā se paanī māñge
shūmī-e-zīst ki ye aaj zuleḳhā kī tarah
kāsa-e-umr meñ lamhāt-e-javānī māñge
apne ḳhvāboñ pe hai sharminda shab-e-ġham-dīda
sub.h-e-ma.asūm usī shab kī kahānī māñge
ġhuncha-e-shauq 'shamīm' aaj khilā hai shāyad
dil-e-vahshat-zada ḳhūñ-nāba-fashānī māñge
Top Urdushayar.com