Khwaja Rabbani

log is Dhab se qaside mein utar bandhte hain

Khwaja Rabbani

log is Dhab se qasīde meñ utar bāñdhte haiñ
sāhab-e-sadr ke aiboñ ko hunar bāñdhte haiñ
ham tire shahr kā jab azm-e-safar bāñdhte haiñ
ādatan kāñdhoñ pe apne ka.ī sar bāñdhte haiñ
sūkhī shāḳhoñ pe na.e barg-o-samar bāñdhte haiñ
qāfiya jab bhī nayā ahl-e-hunar bāñdhte haiñ
in muñDeroñ ke charāġhoñ kī ajab qismat hai
jis meñ ahbāb havāoñ kā guzar bāñdhte haiñ
maiñ ise le ke khaḌā huuñ to nahīñ koī harīf
kis ke hone kā fusūñ sho.abda-gar bāñdhte haiñ
vo jo vāqif nahīñ tahzīb-e-zabāñ-dānī se
apnī dastār meñ ab vo bhī guhar bāñdhte haiñ
ik ġhazal aisī ki kāġhaz ko bhigo detī hai
is meñ ham qāfiya-e-dīda-e-tar bāñdhte haiñ
in se hushiyār na.ī tarz ke jādūgar haiñ
kis safā.ī se ye logoñ kī nazar bāñdhte haiñ
ham haiñ ma.azūr-e-nazar, pul tirī tārīfoñ ke
ā.ina-ḳhāne ke arbāb magar bāñdhte haiñ
Top Urdushayar.com