hukūmat hai na shaukat hai na izzat hai na daulat hai
hamāre paas ab le-de ke baaqī bas saqāfat hai
gine jaate haiñ jo dahlīz ke bujhte charāġhoñ meñ
unheñ aivān kī mehrāb meñ jalne kī aadat hai
chalo ḳhairāt na miltī koī khiḌkī hī khul jaatī
faqīroñ ko mohalle se bas itnī sī shikāyat hai
bharam donoñ kā qaa.em hai adā-e-be-niyāzī se
zamāna pūchhtā kab hai hamārī kyā zarūrat hai
kisī manzil pe ham ko mustaqil rahne nahīñ detā
na jaane vaqt ko ham be-gharoñ se kyā shikāyat hai
zabāñ-bandī to pahle thī ba-hukm-e-sāhib-e-ālam
nigāhoñ ko bhī ab ḳhāmosh rahne kī hidāyat hai