Khwaja Rabbani

shujaat ki misalen qabr ke patthar mein rakkhi hain

Khwaja Rabbani

shujā.at kī misāleñ qabr ke patthar meñ rakkhī haiñ
hamārī saarī shamshīreñ ajā.ib ghar meñ rakkhī haiñ
havā kī dushmanī se hausle TuuTe nahīñ us ke
uḌāneñ to parinde ke shikasta-par meñ rakkhī haiñ
jise chāhe dikhātā hai jise chāhe miTātā hai
ki tasvīreñ sabhī ab dast-e-shīsha-gar meñ rakkhī haiñ
charāġhoñ ke mohalle meñ bahut tezī se chaltī hai
ye kaisī vahshateñ yārab havā ke sar meñ rakkhī haiñ
hamāre ba.ad aane vāloñ ko koī to samjhā.e
ga.e vaqtoñ kī tārīḳheñ har ik patthar meñ rakkhī haiñ
guloñ se qurbateñ sābit faqat ḳhushbū se hotī haiñ
qabā.eñ to sabā kī qabza-e-sarsar meñ rakkhī haiñ
ham apnā sāz-o-sāmāñ le to aa.e haiñ na.e ghar meñ
magar kuchh dastakeñ ab bhī purāne ghar meñ rakkhī haiñ
vo rāh-e-vasl ki paikar nahīñ bīnā.ī chaltī thī
mirī āñkheñ tire dīdār ke manzar meñ rakkhī haiñ
Top Urdushayar.com