Abdur Rauf Urooj

KHamoshi meri lai mein gungunana chahti hai

Abdur Rauf Urooj

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1936
ḳhamoshī merī lai meñ gungunānā chāhtī hai
kisī se baat karne kā bahānā chāhtī hai
nafas ke loch ko ḳhanjar banānā chāhtī hai
mohabbat apnī tezī āzmānā chāhtī hai
mabādā shahr kā rasta koī rah-rah na pā le
havā qabroñ kī sham.eñ bhī bujhānā chāhtī hai
gulāboñ se lahū ristā hai merī uñgliyoñ kā
fazā kaisī chaman-bandī sikhānā chāhtī hai
maiñ ab ke us kī buniyādoñ meñ lāsheñ chun rahā huuñ
imārat koī qasr-e-dil-barāna chāhtī hai
jahāñ patthar sahī lekin junūñ kī ḳhud-numā.ī
fareb-e-jalva-e-ā.īna-ḳhāna chāhtī hai
Top Urdushayar.com