Abdur Rauf Urooj

kuchh na kiya arbab-e-junun ne phir bhi itna kaam kiya

Abdur Rauf Urooj

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1936
kuchh na kiyā arbāb-e-junūñ ne phir bhī itnā kaam kiyā
dār-ba-dār uftād se khele zulf-ba-zulf ārām kiyā
sāvan sho.ale bhaḌke gulshan gulshan aag lagī
kaisā sūraj ubhrā jis ne sub.h ko ātish-nām kiyā
tanhā.ī bhī sannāTe bhī dil ko Daste jaate haiñ
rahgīro kis des meñ aa kar ham ne aaj qayām kiyā
qarya-e-gul se dasht-e-balā tak ahl-e-havas kī yūrish thī
kuchh to samajh kar dīvānoñ ne tark-e-jāda-e-ām kiyā
raat ke hāthoñ kab tak rahtā shahr-e-nigārāñ tīra-o-tār
apne lahū se ham ne charāġhāñ āḳhir gām-ba-gām kiyā
aish bhī guzre rañj bhī guzre dil kī hālat ek rahī
kab jashn-e-āġhāz manāyā kab ḳhauf-e-anjām kiyā
'mīr' ke gyānī lākhoñ dekhe 'mīr' sī kis meñ baat 'urūj'
merī biitī aap ne kah leñ ḳhud ko abas badnām kiyā
Top Urdushayar.com