Abdur Rauf Urooj

ba-qadr-e-did na the teri anjuman ke charagh

Abdur Rauf Urooj

Aurangabad, Aurangabad, Maharashtra, India

1936
ba-qadr-e-dīd na the terī anjuman ke charāġh
mirī nigāh farozāñ huī hai ban ke charāġh
hazār bād-e-havādis hazār sarsar-e-ġham
jalā rahā huuñ magar azmat-e-chaman ke charāġh
nuqūsh-e-shahr-e-nigārāñ ubhārte hī rahe
mire junūñ ke ujāle tirī lagan ke charāġh
savād-e-asr meñ fardā kī tābnākī hai
bujhā diye ga.e andesha-e-kuhan ke charāġh
hujūm-e-ġham meñ huā thā ye kaun naġhma-sarā
jalī hai tīrgi-e-shām dard ban ke charāġh
na bād-e-dasht-o-bayābāñ na shām-e-ranj-o-balā
lahū se apne jalāte haiñ ham-vatan ke charāġh
jilau meñ tābish-e-qindīl-e-āgahī le kar
bujhā diye haiñ mohabbat ne ahrman ke charāġh
zamāna shām-e-balā se savāl kartā hai
kidhar ga.e vo tire daur-e-pur-fitan ke charāġh
sharār-e-nutq huā sarf-e-har-ḳhayāl 'urūj'
jale to bujh na sake shoḳhī-e-suḳhan ke charāġh
Top Urdushayar.com