aaj yādoñ ne ajab rañg bikhere dil meñ
muskurāte haiñ sar-e-shām savere dil meñ
ye tabassum kā ujālā ye nigāhoñ kī sahar
log yuuñ bhī to chhupāte haiñ añdhere dil meñ
sūrat-e-bād-e-sabā qāfila-e-yād aayā
zaḳhm-dar-zaḳhm khile phuul se mere dil meñ
yaas kī raat kaTī aas kā sūraj chamkā
phir bhī chamke na kisī roz savere dil meñ
ik mirī vahshat-e-be-nām pe is tarah na soch
kitnī bāteñ haiñ jo khaTkī nahīñ tere dil meñ
dhyān kī sham.a kī lau tez bhī kar dete haiñ
aksar auqāt tirī yaad ke phere dil meñ
na milī fursat-e-āsā.ish-e-ta.abīr-e-urūj
ek muddat se haiñ ḳhvāboñ ke basere dil meñ