Seeman Naved

waqt ne ek nazar jo Dali hai

Seeman Naved

Karachi, Sindh, Pakistan

vaqt ne ik nazar jo Daalī hai

phuul tāzgī churā hai

aaj bhī us ne shaam se pahle

dhuup dīvār se uThā hai

ab havā chīḳhtī phire shab bhar

shahr to shaam se ḳhālī hai

maut bhī is liye nahīñ aatī

zindagī zindagī se ḳhālī hai

hai mulāqāt us se ḳhvāboñ meñ

aur ye tasvīr bhī ḳhayālī hai

ham-safar bhī nayā banā leñge

rahguzar jab na.ī banā hai

ā.īna gard se aTā hai 'naved'

aur be-chehragī misālī hai

Top Urdushayar.com