Seeman Naved

ajib sham thi jab lauT kar main ghar aaya

Seeman Naved

Karachi, Sindh, Pakistan

ajiib shaam thī jab lauT kar maiñ ghar aayā
koī charāġh liye muntazir nazar aayā
duā ko haath uThā.e hī the ba-vaqt-e-sahar
ki ik sitārā mire haath par utar aayā
tamām umr tire ġham kī ābyārī kī
to shāḳh-e-jāñ meñ gul-e-tāza kā samar aayā
phir ek shaam dar-e-dil pe dastakeñ jāgīñ
aur ek ḳhvāb ke hamrāh nāma-bar aayā
gale se lag ke mire pūchhne lagā dariyā
kyuuñ apnī pyaas ko sahrā meñ chhoḌ kar aayā
ye kis dayār ke qisse sunā rahe ho 'naved'
ye kis hasīn kā ā.ankhoñ meñ ḳhvāb dar aayā
Top Urdushayar.com