kahāñ ham aur dushman mil ke donoñ koī dam baiThe
jo vo baiThā to ham uTThe jo vo uTThā to ham baiThe
rasā.ī baam tak apnī na hogī yā kabhī hogī
ye pahroñ sochte haiñ kūcha-e-jānāñ meñ ham baiThe
ye kis andāz se kahte haiñ sun kar dāstāñ merī
jahāñ pūchhā kisī ne le ke ye tūmār-e-ġham baiThe
ye qismat ke farishte haiñ ye ḳhūbī hai muqaddar kī faqat
ḳhizar uTh jaa.eñ duniyā se raheñ ai 'nūh' ham baiThe