kyā kahūñ ham-nashīñ ye merā bhaag
ek jaan aur saikḌoñ haiñ khaḌāg
phir kabhī mai se tauba kar lūñgā
ab to botal kā khul gayā hai kaag
dīda-o-dil kī nibh nahīñ saktī
is meñ paanī hai aur us meñ aag
kar ke vo zikr jaur Dhā.eñge
taar bolā ki ham ne būjhā raag
ab ḳhizāñ meñ kahāñ vo rañg-e-chaman
jald-tar luT gayā dulhan kā suhāg
muflisī meñ hai dil amīroñ kā
ham lañgoTī meñ khelte haiñ phaag
dil hamārā butoñ ko bhuul gayā
ab na kāshī nazar meñ hai na praag
chor se kah rahe haiñ chorī kar
aur vo kah rahe haiñ shaah se jaag
sho.ala-rū maiñ ne kyuuñ kahā un ko
aur bhī ho ga.e vo sun kar aag
bazm-e-aish-o-nashāt ho ga.ī ḳhatm
ab kahāñ rāgnī kahāñ vo raag
kyuuñ sambhaltā nahīñ mizāj apnā
hai davā-o-maraz meñ shāyad laag
sab tire dost sab mire dushman
ik mirā baḳht ek terā bhaag
koī lahze ko bhī nahīñ ruktā
tausan-e-umr kī hai Dhīlī baag
qaul de kar tirā mukar jaanā
mujh se itnā lagāv itnī laag
hai jidhar merī manzil-e-maqsūd
maiñ udhar jā rahā huuñ bhāgā bhaag
maiñ ne dekhā ye bazm-e-ālam meñ
apnī Daflī hai aur apnā raag
mausam-e-gul abhī nahīñ aayā
chal diye ghar meñ ham lagā kar aag
roz malte haiñ muñh par apne bhabhūt
ishq meñ ham ne le liyā bairāg
dil lagā kar mujhe huā ma.alūm
ishq meñ haiñ baḌe baḌe se khaḌāg
in ko tūfān-e-ḳhalq se kyā Dar
hazrat-e-'nūh' haiñ purāne ghaag