kyā vasl ke iqrār pe mujh ko ho ḳhushī aaj
is kī bhī ye sūrat hai kabhī kal hai kabhī aaj
vo haath meñ talvār liye sar pe khaḌe haiñ
marne nahīñ detī mujhe marne kī ḳhushī aaj
milnā jo na ho tum ko to kah do na mileñge
ye kyā kabhī parsoñ hai kabhī kal hai kabhī aaj
kyā baat hai chhuptī hī nahīñ baat hamārī
jo un se kahī thī vo raqīboñ se sunī aaj
surḳhī bhī hai āñkhoñ meñ qadam ko bhī hai laġhzish
chhup kar kahīñ ai 'nūh' zarūr apne pī aaj