gulzār meñ ye kahtī hai bulbul gul-e-tar se
dekhe koī ma.ashūq ko āshiq kī nazar se
lo aur suno kahte haiñ vo ham se bigaḌ kar
dekho hameñ dekho na mohabbat kī nazar se
vo uTThī vo aa.ī vo ghaTā chhā ga.ī saaqī
mai-ḳhāne pe allāh kare TuuT ke barse
mai-ḳhāne pe ghanghor ghaTā chhā.ī hai be-kār
khulnā ho to khul jaa.e barasnā ho to barse
kyā ishq hai kyā shauq hai kyā rashk hai kyā laag
dil jalva-gāh-e-nāz meñ aage hai nazar se
is ḳhauf se mil lete haiñ vo 'nūh' se akasr
tūfāñ na uThā.e kahīñ ye dīda-e-tar se