tum apne āshiqoñ se kuchh na kuchh dil-bastagī kar lo
kisī se dushmanī kar lo kisī se dostī kar lo
nirālī ham ne ye tahzīb dekhī bazm-e-jānāñ meñ
adū bhī sāmne aa.e to us ko bandagī kar lo
ye kyā har baat par dhamkī hai ham tujh se samajh leñge
hamāre haq meñ jo kuchh tum ko karnā ho abhī kar lo
adab zāhid kā hai itnā bahut ai ahl-e-mai-ḳhāna
jab āñkheñ chaar ho jaa.eñ to jhuk kar bandagī kar lo