ham se ye kah ke vo hāl-e-shab-e-ġham pūchhte haiñ
kyā batāoge na tum ab bhī ki ham pūchhte haiñ
yuuñ koī de ke zabāñ apnī mukar jaatā hai
aap se kahte haiñ ye aap se ham pūchhte haiñ
bhūle-bhaTke jo udhar koī nikal jaatā hai
ḳhair but-ḳhāne kī sab ahl-e-haram pūchhte haiñ
maiñ ne aisā koī hamdard na dekhā na sunā
sub.h ko mujh se vo hāl-e-shab-e-ġham pūchhte haiñ
jo na jhelī thī kabhī us ne vo aafat jhelī
aap kyā 'nūh' se afsāna-e-ġham pūchhte haiñ