aap jin ke qarīb hote haiñ
vo baḌe ḳhush-nasīb hote haiñ
jab tabī.at kisī par aatī hai
maut ke din qarīb hote haiñ
mujh se milnā phir aap kā milnā
aap kis ko nasīb hote haiñ
zulm sah kar jo uf nahīñ karte
un ke dil bhī ajiib hote haiñ
ishq meñ aur kuchh nahīñ miltā
saikḌoñ ġham nasīb hote haiñ
'nūh' kī qadr koī kyā jaane
kahīñ aise adiib hote haiñ