donoñ gharoñ kā lutf judāgāna mil gayā
ka.abe se ham chale the ki but-ḳhāna mil gayā
saaqī se yuuñ subūt-e-karīmāna mil gayā
paimāna maiñ ne māñgā thā mai-ḳhāna mil gayā
dil kyuuñ na ham faroḳht kareñ is yaqīn par
qīmat bhī ab milegī jo bai.āna mil gayā
saaqī kī chashm-e-mast idhar aaj uTh ga.ī
ham ko hamāre zarf kā paimāna mil gayā
karnī paḌī na aur kahīñ justujū mujhe
ka.abe hī ke hudūd meñ but-ḳhāna mil gayā
mahshar meñ dekh kar unheñ yuuñ shaad ho ga.e
goyā hameñ najāt kā parvāna mil gayā
mil kar bhī jal gayā ki bachā ye na pūchhiye
itnā huā ki sham.a se parvāna mil gayā
ab dar-ba-dar kī Thokareñ khāne se kyā ġharaz
mujh ko ḳhudā-e-ka.aba-o-but-ḳhāna mil gayā
allāh re chashm-e-sāqī-e-mahfil kā lutf-e-ḳhās
sab yuuñ hī rah ga.e mujhe paimāna mil gayā
vo ḳhat meñ likh rahe haiñ tirī āfiyat nahīñ
mujh ko adam kī raah kā parvāna mil gayā
ai sāilkān-e-jāda-e-irfāñ baḌhe chalo
but-ḳhāna mil gayā to ḳhudā-ḳhāna mil gayā
tauqīr-e-ishq ḳhaak uḌāne se baḌh ga.ī
ye hai ġhalat ki ḳhaak meñ dīvāna mil gayā
paa.e uruuj kyuuñ na hamārī farotanī
phūlā phalā vo ḳhaak meñ jo daana mil gayā
josh-e-junūñ ke vāste ab kuchh na chāhiye
vīrāne kī talāsh thī vīrāna mil gayā
paimāna-o-subū kī zarūrat nahīñ rahī
mujh ko mizāj-e-sāqī-e-mai-ḳhāna mil gayā
marqad se kushtagān-e-mohabbat nikal chuke
ab hashr tak ke vāste kāshāna mil gayā
ma.alūm ham ne kar liye asrār-e-husn-o-ishq
taqdīr se agar koī dīvāna mil gayā
rakh lī ḳhudā-e-ishq ne josh-e-junūñ kī sharm
ghar se nikalte hī mujhe vīrāna mil gayā
vo kah ga.e ki phir koī tūfān uThā.e
ai 'nūh' mujh ko shaġhl-e-qadīmāna mil gayā