Nooh Narvi

apne apne rang mein yakta main hi main hun tu hi tu hai

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
apne apne rañg meñ yaktā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
husn kī mūrat ishq kā putlā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
duniyā se kyā matlab mujh ko aalam se kyā tujh ko ta.alluq
merā dilbar terā shaidā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
chal kar phir kar dekhā bhālā jāñchā parkhā samjhā būjhā
sab se a.alā sab se adnā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
zulm se rakkhe kaam hamesha da.ave kartā jaa.e vafā kā
kaun zamāne meñ hai aisā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
ḳhūn-e-jigar se qaul rahā ye mere ashk-e-chashm-e-tar kā
chaḌhtā dariyā bahtā dariyā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
tū hī tū hai maiñ hī maiñ huuñ aalam meñ aalam se nirālā
duniyā meñ duniyā se anokhā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
dil na tujhe lenā thā mujh se jaan mujhe denī thī na tujh par
kaisā duniyā bhar meñ rusvā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
kaisī azrā kaisī lailā kaisā vāmiq kaisā majnūñ
ab mash.hūr jahāñ meñ kyā kyā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
yuuñ to haiñ ma.ashūq hazāroñ yuuñ to haiñ lākhoñ āshiq bhī
lekin behtar nādir-e-yaktā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
'nūh' ye bāteñ miT jā.eñgī tere mere miT jaane se
chāhne vaalā ishq-o-vafā kā maiñ hī maiñ huuñ tū hī tū hai
Top Urdushayar.com