Nooh Narvi

har talabgar ko mehnat ka sila milta hai

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
har talabgār ko mehnat kā sila miltā hai
but haiñ kyā chiiz ki DhūñDhe se ḳhudā miltā hai
vaqt par kaam na aayā dil-e-nāshād kabhī
TuuT kar ye bhī usī shoḳh se jā miltā hai
vo jo inkār bhī karte haiñ to kis naaz ke saath
mujh ko milne meñ na milne kā mazā miltā hai
ye kudūrat ye adāvat ye jafā ḳhuub nahīñ
mujh ko miTTī meñ milā kar tumheñ kyā miltā hai
'nūh' ham ko nazar aayā na yahāñ but bhī koī
log kahte the ki ka.abe meñ ḳhudā miltā hai
Top Urdushayar.com