taab nahīñ sukūñ nahīñ dil nahīñ ab jigar nahīñ
apnī nazar kidhar uThe koī idhar udhar nahīñ
roz shab uThte baiThte un kī zabān par nahīñ
koī nahīñ kī had nahīñ shaam nahīñ sahar nahīñ
koī yahāñ se chal diyā raunaq-e-bām-o-dar nahīñ
dekh rahā huuñ ghar ko maiñ ghar hai magar vo ghar nahīñ
itnī ḳhabar to hai zarūr le ga.e dil vo chhīn kar
kyā huā us kā phir ma.aal is kī mujhe ḳhabar nahīñ
kyuuñ vo idhar udhar phire kyuuñ ye hudūd meñ rahe
terī nazar to hai nazar merī nazar nazar nahīñ
mujh se bigaḌ kar apne ghar jā.iye ḳhair jā.iye
aap ne ye samajh liyā aah meñ kuchh asar nahīñ
dair ko ham ghaTā.eñ kyuuñ kaabe ko ham baḌhā.eñ kyuuñ
kyā hai ḳhudā kā ghar yahī kyā vo ḳhudā kā ghar nahīñ
parde se bāhar aa.iye ruḳh se naqāb uThā.iye
tāb-e-jamāl lā sake itnī mirī nazar nahīñ
mujh ko ḳhayāl-e-roz-o-shab ḳhaak rahe mazār meñ
aisī jagah huuñ jis jagah shaam nahīñ sahar nahīñ
teġh kaho sināñ kaho qahr kaho balā kaho
ahl-e-nazar kī raa.e meñ un kī nazar nazar nahīñ
Dar ga.e ahl-e-ajnuman tiir jo aap kā chalā
is ne kahā idhar nahīñ us ne kahā udhar nahīñ
roz ke ġham ne is tarah ḳhūgar-e-zabt-e-ġham kiyā
dard hamāre dil meñ hai shikva zabān par nahīñ
pūchhte haiñ vo hāl-e-dil tūl-e-suḳhan se fā.eda
sau kī ye ek baat hai kah duuñ mujhe ḳhabar nahīñ
un meñ kuchh aur baat thī in meñ kuchh aur baat hai
hazrat-e-'nūh' kā gumāñ hazrat-e-nūh par nahīñ