hamārī jab hamārī ab hamārī kab se kyā matlab
ġharaz un ko ġharaz se kyā ġharaz matlab se kyā matlab
azīz-o-aqribā par be-sabab vo zulm Dhātā hai
ḳhatā-vār-e-mohabbat to hamīñ haiñ sab se kyā matlab
agar ham jaan dete haiñ to un ke husn-e-sūrat par
hameñ bartāv se andāz se yā Dhab se kyā matlab
ḳhudā kā naam bhī lete hue maiñ hichkichātā huuñ
vo pūchheñge tumhārā na.ara-e-yārab se kyā matlab
vafā.eñ kījiye pichhlī jafā.eñ bhuul jā.eñgī
agar matlab hai to ab se hameñ hai jab se kyā matlab
alag aanā alag jaanā alag rahnā alag phirnā
rah-e-ulfat meñ sab ko ham se ham ko sab se kyā matlab
jo mazmūn-e-ḳhat-e-pur-shauq merā vo nahīñ paḌhtā
ye matlab hai ki mujh ko ma.anī-o-matlab se kyā matlab
agar maiñ pūchhtā huuñ aap mere ghar kab ā.eñge
to vo kahte haiñ ā.eñge magar is kab se kyā matlab
na maz.hab hai na mashrab hai koī ham bāda-ḳhvāroñ kā
hameñ mashrab se kyā nisbat hameñ maz.hab se kyā matlab
amīr-e-ḳhud-ġharaz hī ko ġharaz matlab se matlab hai
faqīr-e-be-ġharaz ko hai ġharaz matlab se kyā matlab
zamāna ġharq-e-bahr-e-ġham jo hotā hai to hone do
tum apnī ḳhair māñgo 'nūh' tum ko sab se kyā matlab