gulshan meñ kabhī ham sunte the vo kyā thā zamāna phūloñ kā
kaliyoñ se kahānī kaliyoñ kī phūloñ se fasāna phūloñ kā
kyā mausam-e-gul par itrā kar ham gaa.eñ tarāna phūloñ kā
do roz meñ aane vaalā hai ik roz zamāna phūloñ kā
ayyām-e-ḳhizāñ meñ ahl-e-chaman sarsar ko sitam se kyā rokeñ
begāna huā jab sabza bhī to kaun yagāna phūloñ kā
phir bād-e-sabā vo aa pahuñchī phir rañg khilā nik.hat phailī
ai lūTne vaalo ab luuTo ma.amūr ḳhazāna phūloñ kā
nāzāñ hai jo apnī qismat par gulchīñ ko ye kyā ma.alūm nahīñ
jā.egī bahār aa.egī ḳhizāñ badlegā zamāna phūloñ kā
gulchīñ se kabhī maiñ suntā huuñ bulbul se kabhī maiñ kahtā huuñ
is dard-sarī kā baa.is hai dilchasp fasāna phūloñ kā
shāḳheñ bhī balā.eñ letī haiñ patte bhī nichhāvar hote haiñ
allāh re javānī gulshan kī uf uf re zamāna phūloñ kā
ayyām-e-ḳhizāñ meñ ai bulbul taklīf bahut baḌh jā.egī
phūloñ kī qasam detā huuñ tujhe chheḌ ab na tarāna phūloñ kā
jab ahl-e-chaman so jaate haiñ to husn ke Daakū aate haiñ
kuchh raat ga.e kuchh raat rahe luTtā hai ḳhazāna phūloñ kā
murġhān-e-qafas ko niiñd kahāñ niiñd aa.e yahī ummīd kahāñ
gulchīñ se unheñ sunvātā hai sayyād fasāna phūloñ kā
kyā zikr-e-chaman kyā fikr-e-chaman kyā zauq-e-chaman kyā shauq-e-chaman
dāġhoñ se hamārā ḳhāna-e-dil hai daulat-ḳhāna phūloñ kā
kyā ḳhuub milī gul khāne kī ye daad hameñ mar jaane par
phūloñ meñ hamāre chheḌ diyā bulbul ne tarāna phūloñ kā
fitrat ke musāfir ko bas meñ rakh sakte nahīñ ashjār-e-chaman
aatā hai zamāna phūloñ kā jaatā hai zamāna phūloñ kā
ai 'nūh' asar itnā to kiyā tum par bhī chaman ke manzar ne
tūfān uThānā bhuul ga.e le baiThe fasāna phūloñ kā