Nooh Narvi

nikhar aai nikhaar aai sanwar aai sanwar aai

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
nikhar aa.ī nikhār aa.ī sañvar aa.ī sañvār aa.ī
guloñ kī zindagī le kar gulistāñ meñ bahār aa.ī
mashiyyat ko nahīñ manzūr do din pārsā rakhnā
idhar kī maiñ ne tauba aur udhar fauran bahār aa.ī
asīrān-e-qafas ko vāsta kyā in jhameloñ se
chaman meñ kab ḳhizāñ aa.ī chaman meñ kab bahār aa.ī
mujhe gulshan se ai josh-e-junūñ sahrā ko ab le chal
yahāñ is ke sivā kiyā hai ḳhizāñ aa.ī bahār aa.ī
hamesha bāda-ḳhvāroñ par ḳhudā ko mehrbāñ dekhā
jahāñ baiThe ghaTā uTThī jahāñ pahuñche bahār aa.ī
Top Urdushayar.com