Nooh Narvi

aap ke dil ka mere dil ka nafaz

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
aap ke dil kā mire dil kā nafāz
kyā kare maqtūl-o-qātil kā nafāz
phir gayā mujh ko zabāñ de kar koī
khul gayā yuuñ uuprī dil kā nafāz
jāda-e-ishq-o-vafā meñ chāhiye
rahravoñ par shauq-e-manzil kā nafāz
mar ga.e lākhoñ galā ḳhud kaaT kar
allāh allāh teġh-e-qātil kā nafāz
ham ne paayā ham ne dekhā jā-ba-jā
ishq-e-sādiq husn-e-kāmil kā nafāz
phir ga.e nāvak bhī un ke dekh kar
mere dil meñ hasrat-e-dil kā nafāz
pahle dekh ā.īna ai ā.īna-rū
jāñch phir madd-e-muqābil kā nafāz
paañv rakhnā mujh ko mushkil ho gayā
thā ye hukm-e-mīr-e-mahfil kā nafāz
jazb-e-kāmil ishq meñ hai ḳhaas chiiz
ho na kyūñkar jazb-e-kāmil kā nafāz
ashk āñkhoñ se rukeñ mumkin nahīñ
dil hī tak mahdūd hai dil kā nafāz
'nūh' ġharq-e-bahr-e-ulfat ho ga.e
kaam aayā kuchh na sāhil kā nafāz
Top Urdushayar.com