Chaman Bhatnagar

jo dil par bojh hai yarab zara bhi kam nahin hota

Chaman Bhatnagar

jo dil par bojh hai yārab zarā bhī kam nahīñ hotā
zamāna ġham to detā hai sharīk-e-ġham nahīñ hotā
ḳhazāna ilm kā hai lā-zavāl aisā zamāne meñ
jise bāñTo to baḌhtā hai pa hargiz kam nahīñ hotā
hamārā sar banā hai dosto ik ḳhaas miTTī se
kisī zālim kī chaukhaT par kabhī ye ḳham nahīñ hotā
zahe-qismat ḳhudā ne zabt kī tāqat mujhe dī hai
haqīqat meñ mirā ashkoñ se dāman nam nahīñ hotā
hazāroñ āfateñ ham ne sahīñ mahbūb kī ḳhātir
magar īsār kā jazba zarā bhī kam nahīñ hotā
pahuñch saktā nahīñ vo apnī manzil pe kisī sūrat
vo bad-qismat musāfir jis meñ kuchh dam-ḳham nahīñ hotā
zarā sī baat par āmāda ho jaa.e jo laḌne par
pujārī vo ahinsā kā chaman gautam nahīñ hotā
Top Urdushayar.com