Nooh Narvi

kisi be-dard ko zulm-o-sitam ka shauq jab hoga

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
kisī be-dard ko zulm-o-sitam kā shauq jab hogā
ye merā ek dil lākhoñ diloñ meñ muntaḳhab hogā
hamārā aur un kā sāmnā mahshar meñ jab hogā
vo jalsa vo samāñ vo ma.arka bhī kuchh ajab hogā
koī zinda rahe duniyā meñ kyā aglī umīdoñ par
abhī to hijr kā ronā hai hogā vasl jab hogā
laḌakpan jā chukā un kā javānī aane vaalī hai
kabhī mujh par jafā hotī thī lekin qahr ab hogā
tumhāre vasl kī saa.at hamesha Taltī rahtī hai
ḳhudā jaane kahāñ hogā kise ma.alūm kab hogā
abhī lazzat nahīñ us ko milī āzār-e-pinhāñ kī
jo hogā bhī to hote hote dil īzā-talab hogā
vo apne va.ada-e-dīdār se phirne ko phir jaa.eñ
magar ye to samajh leñ bevafā kis kā laqab hogā
mujhe iz.hār-e-ulfat par ye un se daad miltī hai
tumhārā ishq ik din merī zillat kā sabab hogā
bharī mahfil meñ un ko chheḌne kī kyā zarūrat thī
janāb-e-'nūh' tum sā bhī na koī be-adab hogā
Top Urdushayar.com