mirī fuġhāñ meñ asar hai bhī aur hai bhī nahīñ
udhar kisī kī nazar hai bhī aur hai bhī nahīñ
koī milegā ye kyā ham kaheñ yaqīn ke saath
parā.e dil kī ḳhabar hai bhī aur hai bhī nahīñ
milā thā husn to rahnā thā duur duur use
vo rashk-e-shams-o-qamar hai bhī aur hai bhī nahīñ
ummīd-o-bīm meñ ulfat ne ham ko Daal diyā
ilāj-e-dard-e-jigar hai bhī aur hai bhī nahīñ
karam ke saath sitam thā jafā ke saath vafā
nazar meñ un kī nazar hai bhī aur hai bhī nahīñ
mire ḳhayāl meñ aao mirī nazar meñ phiro
ye ik tarah kā safar hai bhī aur hai bhī nahīñ
jo pūchhtā huuñ to aḳhtar-shanās kahte haiñ
ki shām-e-ġham kī sahar hai bhī aur hai bhī nahīñ
janāb-e-'nūh' ye kyā baar baar kahte haiñ
vo josh-e-dīda-e-tar hai bhī aur hai bhī nahīñ