Nooh Narvi

bahr-e-gham mein dil ka qarina

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962

bahr-e-ġham meñ dil qarīna

lākhoñ maujeñ ek safīna

TuuTā hai dil shaq hai siina

dekh kar us zālim qarīna

bhiig ga.ī duniyā-e-mohabbat

aayā thā kuchh mujh ko pasīna

shāḳheñ phūTīñ kaliyāñ chaTkīñ

aa pahuñchā phāgun mahīna

haal bhī merā aap na pūchheñ

itnī ranjish itnā kiina

mar jaanā takmīl-e-vafā meñ

hai me.arāj pahlā ziina

merī gardan terā ḳhanjar

terī barchhī merā siina

barq balā barq adā ho

donoñ hai ek qarīna

kyā ho sukūñ ai bahr-e-mohabbat

sāhil se hai duur safīna

jaltā huuñ terī mahfil meñ

jannat meñ dozaḳh qarīna

hijr aalam yaad hai mujh ko

ik ik din ek ek mahīna

maut saḳhtī maiñ ne samjhī

māthe par niklā jo pasīna

sham.a ke dam se bazm munavvar

kahne ko mehmān-e-shabīna

koī jābir koī sābir

ik merā ik un qarīna

hil jaao bhī khul khelo bhī

achchhā din achchhā hai mahīna

unheñ mere dil se umañgeñ

ġharq kiyā maujoñ ne safīna

dil ko fuġhāñ pahuñchā.e falak tak

nīchī chhat hai ūñchā ziina

phir uThā tūfān-e-mohabbat

'nūh' kareñ tayyār safīna

Top Urdushayar.com