nā-rasā aaheñ mirī auj-e-marātib pā ga.iiñ
dil se niklīñ lab tak aa.iiñ āsmāñ par chhā ga.iiñ
naza.a meñ dil se nikal kar jo zabāñ par aa ga.iiñ
vo sadā.eñ kuchh na thiiñ lekin qayāmat Dhā ga.iiñ
ai nigāh-e-dil-navāz uTh aur mere dil ko dekh
jitnī niklī thiiñ tamannā.eñ phir utnī chhā ga.iiñ
maiñ umīd-e-ġhuncha-o-gul ab karūñ to kyā karūñ
koñpleñ phūTī thiiñ jin shāḳhoñ meñ vo murjhā ga.iiñ
ḳhāna-e-dil meñ ye aalam ārzūoñ kā rahā
chand niklīñ chand Thahrīñ kuchh ga.iiñ kuchh aa ga.iiñ
sab ne jaanā ek apnā ham-vatan kam ho gayā
ġham agar niklā to dil kī hasrateñ ghabrā ga.iiñ
sūrat-e-sailāb mazmūñ kā asar baḌhtā gayā
'nūh'-e-tūfānī kī ġhazleñ ḳhuub shohrat pā ga.iiñ