maiñ kisī shoḳh kī galī meñ nahīñ
zindagī merī zindagī meñ nahīñ
ham vafā kī umiid kyā rakkheñ
kis meñ hogī jo aap hī meñ nahīñ
koī kaisā hai koī kaisā hai
ādamiyyat har aadmī meñ nahīñ
tazkira hī vafā kā suntā huuñ
ye kisī meñ hai yā kisī meñ nahīñ
us kā milnā hai apne khone par
fil-haqīqat ḳhudā ḳhudī meñ nahīñ
kis se pūchhūñ ki raat kyā guzrī
ahl-e-bazm apne hosh hī meñ nahīñ
vo ghaTā āsmān par uTThī
uzr ab mujh ko mai-kashī meñ nahīñ
guftugū un kī dostī meñ hai
shak hameñ un kī dushmanī meñ nahīñ
hai ḳhudī aur be-ḳhudī kuchh aur
be-ḳhudī kā maza ḳhudī meñ nahīñ
koī chilman uThā.e baiThā hai
koī apne havās hī meñ nahīñ
ġhaur se dekhiye to sab kuchh hai
kaun sī baat aadmī meñ nahīñ
ye bhī ho vo bhī ho to lutf aa.e
kuchh nahīñ laag agar lagī meñ nahīñ
kaun sā vasf kaun sī ḳhūbī
hazrat-e-'nūh-nārvī' meñ nahīñ