ḳhudā se zulm kā shikva zarūr maiñ ne kiyā
baḌā qusūr ye ai rashk-e-hūr maiñ ne kiyā
kisī se dil kā lagānā gunāh hai nāseh
jo ye qusūr hai to ye qusūr maiñ ne kiyā
vo zikr-e-va.ada-e-vasl-e-adū pe kahte haiñ
zarūr maiñ ne kiyā bizzarūr maiñ ne kiyā
tirā ḳhayāl mire dil meñ aa nahīñ saktā
ki jis ko duur kiyā us ko duur maiñ ne kiyā
janāb-e-'nūh' zamāne kā e'tibār nahīñ
burā kiyā jo kisī se ġhurūr maiñ ne kiyā