Nooh Narvi

wo kahte hain aao meri anjuman mein magar main wahan ab nahin jaane wala

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
vo kahte haiñ aao mirī anjuman meñ magar maiñ vahāñ ab nahīñ jaane vaalā
ki aksar bulāyā bulā kar biThāyā biThā kar uThāyā uThā kar nikālā
nashāt-o-alam ke safed-o-siyah ne hamārī nigāhoñ ko hairat meñ Daalā
idhar raushnī hai udhar tīrgī hai kahīñ hai añdherā kahīñ hai ujālā
mirā dard pūchhā mirā haal dekhā mire dil kā armān tum ne nikālā
ḳhudā aur bhī de zyāda marātib sivā aur is se bhī ho bol-bālā
paḌī niiv aapas meñ go dostī kī magar dostī kis tarah nibh sakegī
use hai nazākat mujhe hai naqāhat na vo aane vaalā na maiñ jaane vaalā
shivāle kī jānib qadam kyuuñ baḌhā.ūñ nazar kis liye sū-e-masjid uThā.ūñ
idhar kah rahā hai udhar sun rahā hai koī kahne vaalā koī sunñe vaalā
hamīñ par huiiñ kyā hazāroñ jafā.eñ hazāroñ par aa.iiñ hazāroñ balā.eñ
zamāne meñ koī sambhalne na paayā kisī shoḳh ne hosh jab se sambhālā
vo aa.e the pahlū meñ behosh thā maiñ huī hogī dil par bahut kuchh navāzish
magar kyā ḳhabar mujh ko allāh jaane tamannā nikālī ki kāñTā nikālā
hazāroñ balā-nosh idhar bhī udhar bhī milī itnī fursat kahāñ mai-kade meñ
rahā kaam piine pilāne se sab ko na dhoī surāhī na sāġhar khañgālā
mohabbat ke jogī sitam ke birogī vafā ke bhikārī jafā ke pujārī
jahāñ dekh paate haiñ jalva butoñ kā bichhāte haiñ apnā vahīñ mirg-chhālā
churā le gayā koī dil bhī jigar bhī uḌā le gayā koī sabr-o-sukūñ bhī
yaqīñ hai tamannā nikalte nikalte nikal jā.egā āshiqoñ kā divālā
vatan se nikal kar akele chale the magar ḳhush-yaqīnī ke qurbān jaa.eñ
milā dasht-e-ġhurbat meñ ik ik qadam par hameñ ik na ik jān-pahchān vaalā
fuġhāñ kī bhī imdād hāsil karūñ maiñ mohabbat ko bhī kuchh tavajjoh dilā.ūñ
bharam jazb-e-dil kā nikalne na paa.e nikal aa.e parde se vo parde vaalā
ġhazab Dhā ga.iiñ sīdhī-sādī adā.eñ sitam kar ga.iiñ tirchhī bāñkī nigāheñ
yahī shor uTThā jidhar se vo guzre mujhe maar Daalā mujhe maar Daalā
idhar tuur par ġhash meñ muusā paḌe haiñ udhar hātif-e-ġhaib ye kah rahā hai
zarā kholiye aap āñkheñ to apnī qarīb aa gayā dekhiye duur vaalā
ye matlab thā armān us ke na nikleñ jo taḌpeñ to kuchh aur pechīdgī ho
mire ḳhāna-e-dil meñ rañj-o-alam ne tanā har taraf ḳhuub makḌī kā jaalā
tumhārā sanā-ḳhvāñ tumhārā duā-go tumhārā fidā.ī tumhārā salāmī
ye kyā kah diyā us ne vāqif nahīñ ham vahī haañ vahī 'nūh' tūfān vaalā
Top Urdushayar.com