koī nahīñ pachhtāne vaalā
mar jaa.e mar jaane vaalā
mahfil meñ aa.egā kyuuñ kar
ḳhalvat meñ sharmāne vaalā
maiñ rokūñ lekin kyā rokūñ
jā.egā ghar jaane vaalā
shukr ḳhudā kā ham karte haiñ
kaam aayā kaam aane vaalā
sabr mirā bekār na jaa.e
taḌpe vo taḌpāne vaalā
apnā dil bahlāūñ kis se
hai kaun aane jaane vaalā
vo na mileñ mujh ko mil jaa.e
koī jī bahlāne vaalā
dil vo shai hai jis kā shākī
khone vaalā paane vaalā
lutf-o-karam farmātā jaa.e
lutf-o-karam farmāne vaalā
sab se mushkil baat yahī hai
zinda ho mar jaane vaalā
kyā samjhe asrār-e-mohabbat
dil de kar pachhtāne vaalā
phūloñ kā murjhānā dekhe
kaliyoñ par itrāne vaalā
jaan mirī hai jaane vaalī
dil hai un par aane vaalā
yā maiñ huuñ yā merā dil hai
roz nayā ġham paane vaalā
'nūh' mohabbat kī duniyā meñ
hai tūfān uThāne vaalā