Nooh Narvi

KHayal mein ek na ek maze ki nai kahani hai aur hum hain

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
ḳhayāl meñ ik na ik maze kī na.ī kahānī hai aur ham haiñ
abhī tamannā hai aur dil hai abhī javānī hai aur ham haiñ
ġharīq-e-bahr-e-sitam na kyuuñ hoñ ye jāñ-fishānī hai aur ham haiñ
ki aap haiñ aap kī chhurī hai chhurī kā paanī hai aur ham haiñ
dam-e-aḳhīr us ko ab na socheñ ye sochnā chāhiye thā pahle
ma.aal kyā hogā zindagī kā jahān-e-fānī hai aur ham haiñ
ye ishq par husn kī ināyat ye husn se ishq kī irādat
hamārī hasrat hai aur tū hai tirī javānī hai aur ham haiñ
nigāh-e-ulfat bhī ho chalī kuchh sitam bhī karne lagā vo zālim
agar yahī mehrbāniyāñ haiñ to kāmrānī hai aur ham haiñ
adā ne chheḌā nazar ne taakā sitam ne luuTā ġhazab ne maarā
zabān jab se khulī hamārī yahī kahānī hai aur ham haiñ
baqā kā charchā jahān bhar meñ magar baqā se jahān ḳhālī
ḳhayāl-e-aish-e-mudām kaisā jahān-e-fānī hai aur ham haiñ
abhī se tauba abhī se taqvā abhī se kyā fikr-e-dīn-o-uqbā
na.ī umañgeñ na.ī tarañgeñ na.ī javānī hai aur ham haiñ
pahuñch pahuñch kar falak par aaheñ kareñ na anjum meñ kyuuñ izāfa
ki shaam se sub.h tak shab-e-ġham sharar-fishānī hai aur ham haiñ
kise tavaqqo na ā.eñge vo yaqīñ kise thā bulā.eñge vo
ye ḳhaas un kī hai mehrbānī ki mehrbānī hai aur ham haiñ
uThā hī deñge naqāb apnī dikhā hī deñge vo apnā jalva
nibhegī kab tak ye lan-tarānī ye lan-tarānī hai aur ham haiñ
bhare hue chashm-e-tar meñ aañsū jigar meñ bhaḌkī huī tap-e-ġham
ye aag hai aur ye hai paanī ye aag paanī hai aur ham haiñ
fuġhāñ to āḳhir fuġhāñ hī Thahrī gila to āḳhir gila hī Thahrā
muhāl hai jis meñ saañs lenī vo nā-tavānī hai aur ham haiñ
na.e shagūfe na kyuuñ khilā.eñ jo ġhuncha-o-gul ko dekh paa.eñ
bahār to hai chaman kī raanī chaman kī raanī hai aur ham haiñ
kabhī to ham haiñ yahāñ vahāñ ke kabhī tasavvur idhar udhar kā
sukūn-o-rāhat se kyā ta.alluq ki bad-gumānī hai aur ham haiñ
jatā chuke dard-e-dil ko apne jo ab jatā.eñ to kyā jatā.eñ
kahī huī bhī sunī huī bhī vahī kahānī hai aur ham haiñ
bahut se ulfat meñ aa.e tūfāñ rahā kiye 'nūh' bhī pareshāñ
magar vahī paiham āñsuoñ kī abhī ravānī hai aur ham haiñ
Top Urdushayar.com