mohabbat bā.is-e-dīvāngī hai aur bas maiñ huuñ
ki ab paiham ināyat aap kī hai aur bas maiñ huuñ
sukūñ hāsil hai din meñ aur na shab ko chain miltā hai
ki ab to kashmakash meñ zindagī hai aur bas maiñ huuñ
na jaane mājrā kyā hai nazar kuchh bhī nahīñ aatā
ki ab hadd-e-nazar tak tīrgī hai aur bas maiñ huuñ
nahīñ hai aaj mujh ko ḳhadsha-e-zulmat zamāne meñ
ruḳh-e-tābāñ kī un ke raushnī hai aur bas maiñ huuñ
qadam kyā Dagmagā.eñge rah-e-ulfat meñ ai saaqī
bahut hī muḳhtasar sī be-ḳhudī hai aur bas maiñ huuñ
tire naqsh-e-qadam par sar jhukānā kaam hai apnā
ḳhudā shāhid ye merī bandagī hai aur bas maiñ huuñ
unheñ rūdād-e-ġham apnī sunā.ūñ kis tarah 'qaisar'
vahī un kī adā-e-barhamī hai aur bas maiñ huuñ