Nooh Narvi

ishq ke waste hai dil ki aaD

Nooh Narvi

Raebareli, Uttar pradesh, India

1879-1962
ishq ke vāste hai dil kī aaḌ
koī dekhe ye til kī oT pahāḌ
sar-kashī vaj.h-e-iftiḳhār nahīñ
qad meñ shamshād se baḌā hai taaḌ
satyanās ho gayā dil kā
ishq ne ḳhuub kī ukhāḌ-pachhāḌ
vo ḳhudā jaane ghar meñ haiñ ki nahīñ
kuchh khulā aur kuchh hai band kivāḌ
hasrateñ ba.ad-e-marg jaa.eñ kahāñ
dafn kar mujh ko aur inheñ bhī gaaḌ
nā-tavāñ dil uThā.e kyā ġham-e-ishq
ik taraf raa.ī ek samt pahāḌ
merī taqdīr kā mire dil kā
un ke hāthoñ meñ hai banāv bigāḌ
ḳhaak merī bhī us meñ shāmil hai
apne dāman se gard-e-rāh na jhaaḌ
māl-o-zar de diyā hasīnoñ ko
rah gayā ghar meñ sirf kāTh-kabāḌ
kaash uTh jaa.e parda-e-hastī
mere aur us ke biich meñ hai ye aaḌ
shola-e-ġham se dil kā haal ye hai
jaise pahlū meñ jal rahā ho bhaaḌ
chaar din vo banāv rakhte haiñ
aur rakhte haiñ aaTh roz bigāḌ
vo nahīñ to mirī nigāh meñ hai
baaġh vīrān aur shahr ujaaḌ
raḳht-e-hastī ke ho chuke TukḌe
ai junūñ ab mire kafan ko phaaḌ
'nūh' tūfān-e-hijr-e-ulfat meñ
koh-e-jūdī kī DhūñDte haiñ aaḌ
Top Urdushayar.com